Thursday, January 10, 2008

HANUMAN RETURNS


Hindi Song Title: Aasmaan Ko Chhukar Dekha
Hindi Movie/Album Name: HANUMAN RETURNS
Singer(s): DALER MEHNDI



Hindi Lyrics:

(aasmaan ko chhukar dekha, taaron ki gali sawaari
chaand par bhi naache hum, ki tufaano se yaari) - 2

(aasmaan ko chhukar dekha, taaron ki gali sawaari
chaand par bhi naache hum, ki tufaano se yaari) - 2
kya karoon aur kya nahin, baat kisi se kahi nahin
mauj masti ki aadat meri bachpan se gayi nahin

paagalpan yeh kaisa hai, ?? jaisa taisa hai
soch ki najakat hai, thodi si sharaarat hain
tedha yeh saamaan kyun, aafat mein jaan kyun hai
mach raha bawaal kyun hai, ulta yeh dimaag kyun hain
(aasmaan ko chhukar dekha, taaron ki gali sawaari
chaand par bhi naache hum, ki tufaano se yaari) - 2

yeh yeh yeh aankh micholi, chor daaku bhooth kohli
bum bum bajarang bali, mahabali mahabali
khalbali hi khalbali dekho hai ho chali
dhrati saagar taare ?? ?? hi pyaar
(aasmaan ko chhukar dekha, taaron ki gali sawaari
chaand par bhi naache hum, ki tufaano se yaari) - 2

kya karoon aur kya nahin baat kisi se kahin nahin
mauj masti ki aadat meri bachpan se gayi nahin

(aasmaan ko chhukar dekha, taaron ki gali sawaari
chaand par bhi naache hum, ki tufaano se yaari) - 2


Hindi Song Title: Dhaam Dhoom Dhadaam Dhishum Dhishum
Hindi Movie/Album Name: HANUMAN RETURNS
Singer(s): SHRAVAN SURESH



Hindi Lyrics:

dhaam dhoom dhadaam dhishum dhishum, akal ke dushman gadhe ki dhoom

(dhaam dhoom dhadaam dhishum dhishum, akal ke dushman gadhe ki dhoom
marenge saare baari baari, khaa le jhaapad ho ja gum) - 2

ped se latak, upar se patak - 2, todo yeh tangadi, ho jaaye langadi
khaale tu ghoosa laat aur bukka, karega fight dunga ik tight
jhoom baraabar jhoom, khaa le jhaapad ho ja gum
(dhaam dhoom dhadaam dhishum dhishum, akal ke dushman gadhe ki dhoom
marenge saare baari baari, khaa le jhaapad ho ja gum) - 2

fokat ka yeh dum dekh lenge hum - 2, bakbak jaada aur kaam kam
kaahe ki akad chal kaan pakad, murga ban ja chhat pe chadh ja
wahi baith ke ghoom, khaa le jhaapad ho ja gum
(dhaam dhoom dhadaam dhishum dhishum, akal ke dushman gadhe ki dhoom
marenge saare baari baari, khaa le jhaapad ho ja gum) - 2

inase kya darna, inako hai marana - 2, bas mein nahi hain mujhse bachna
chhota hi sahi taakad hai wahi, bhoot bhi dare chor kya kare
machaayunga main dhoom, khaa le jhaapad ho ja gum
(dhaam dhoom dhadaam dhishum dhishum, akal ke dushman gadhe ki dhoom
marenge saare baari baari, khaa le jhaapad ho ja gum) - 2


Hindi Song Title: Peth Hai Ya Black Hole
Hindi Movie/Album Name: HANUMAN RETURNS
Singer(s): ADNAN SAMI, MANGAL MISHRA, VIJAY PRAKASH



Hindi Lyrics:

mann mein kahin ho lagan, sada rahe jo dhyan magan
mitha phal paayega wahin, bujhegi usiki antar agan

(doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara ??? karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole) - 2

uff laddu halwa khir malaayi subah se bane kadhaayi
haan dusara kya nahin koyi kaam, bhais bhi maange rokda daam
yunn toh ban jaayega dhol, peth hai ya black hole
(doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara gatt karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole) - 2
peth hai ya black hole - 8

jeebh macha rahi hai dhoom, chehra phir bhi hai maasoom
ghar bhaar ko khoob nachaaya, sar saaron ka chakraaya
bhaage har koyi gol gol, peth hai ya black hole
doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara gatt karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole

khaate hi khaate ja, ruko na khaate ja
khaake phir tum so jaao, uthake phir se tum khaao, khaate hi khaate jaao
ho ?? khaali, haandi khaali, khaali kadaayi, khaali mithaayi
ho bekaar hai dibbe ka dhakkan, andar bacha nahin hai makhkhan
abb kya khaayenge toh bol, peth hai ya black hole
(doodh ki nadi, dahi ka dariya, chatpat saara gatt karliyaan
koyi toh do bhed khol, peth hai ya black hole) - 3
peth hai ya black hole..........


Hindi Song Title: shri Hanuman Chalisa
Hindi Movie/Album Name: HANUMAN RETURNS
Singer(s): ARMAAN MALIK, BABY APARNA, SHRAVAN SURESH, SNEHA KHANWLKAR



Hindi Lyrics:

shri guru charan saroj raj nij mane mukure sudhaari
varnao raghuvar vimal jasu jo daayaku phal chaari
budhi hin tanu janike sumirau pavan kumaram
bal budhi vidya dehu mohe harahu kalesavikaar

jai hanuman gyan gun saagar
jai kapis tihun lok ujaagar
ram doot atulit bal dhaama
anjani-putra pavan sut naama
mahavir vikram bajrangi
kumati nivaar sumati ke sangi
kanchan varan viraaj subesa
kaanan kundal kunchit kesaa
haath vajra aur dhuvaje viraaje
kandhe moonj janehu saaje

shankar suvan kesri nandan
tej prataap maha jag vandan
vidyavaan guni ati chaatur
raam kaaj karibe ko aatur
prabhu charitra sunibe ko rasiya
raam lakhan sita man basiya
sukshma roop dhari siyahi dikhaava
vikat roop dhari lanka jalaava
bhima roop dhari asur sanghaare
ramachandra ke kaaj sanvaare

laaye sanjivan lakhan jiyaaye
shri raghuvir harashi ur laaye
raghupati kinhi bahut badhaayi
tum mam priye bharat-hi sam bhaai
sahas badan tumharo yash gaave
as kahi shripati kanth lagaave
sankadik brahmadi muneesa
naarad saarad sahit aheesa
yam kuber digpal jahan te
kavi kovid kahi sake kahan te

tum upkaar sugreevahin keenha
ram milaay rajpad deenha
tumharo mantra vibheeshan maana
lankeshwar bhay sub jag jaana
yug sahastra jo jan par bhaanu
leelyo tahi madhur phal jaanu
prabhu mudrika meli mukh maahee
jaladhi langhi gaye achraj naahee
durgaam kaaj jagat ke jete
sugam anugraha tumhre tete

ram dware tum rakhvaare
hoat na agya binu paisare
sub sukh lahai tumhari sarna
tum rakshak kaahu ko darna
aapan tej samhaaro aapai
teenhon lok haank te kanpai
bhoot pisaach nikat nahin aavai
mahaavir jab naam sunavai
naase rog harai sab peera
japat nirantar hanumant beera

sankat se hanuman chudavai
mann karam vachan dyan jo lavai
sab par raam tapasvee raaja
tinke kaaj sakal tum saaja
aur manorath jo koi lavai
sohi amit jeevan phal pavai
charon yug partap tumhaara
hai persidh jagat ujiyaara
saadhu sant ke tum rakhwaare
asur nikandan ram dulhaare

ashta sidhi nav nidhi ke dhaata
us var deen janki maata
raam rasaayan tumhare paasa
sada raho raghupati ke daasa
tumhare bhajan raam ko pavai
janam janam ke dukh bisravai
anth kaal raghuvir pur jayee
jahaan janam hari-bakht kahayee
aur devta chit na dharehi
hanumanth se hi sarve sukh karehi

sankat kate mite sab peera
jo sumirai hanumat balbeera
jai jai jai hanuman gosahin
kripa karahu gurudev ki nyahin
jo sat baar paath kare koyi
chutehi bandhi maha sukh hoyi
jo yah padhe hanuman chalisa
hoye siddhi sakhi gaureesa
tulsidaas sada hari chera
keejai das hrdaye mein dera

pavantnai sankat harana mangal murti roopa
ram lakhan sita sahita hrdaye basahu sur bhoopa


No comments:

My Blog List