Monday, January 21, 2008

PRASHANT TAMANG - DHANYAVAD


Hindi Song Title: Chain Aur Sukoon Khone Laga
Hindi Movie/Album Name: PRASHANT TAMANG - DHANYAVAD
Singer(s): PRASHANT TAMANG



Hindi Lyrics:

chain aur sukoon khone laga, yeh kya mujhe hone laga
pehli dafa machala hai dil, dil se baahar nikla hai dil
betaab hoon, meheb khaab hoon
chain aur sukoon khone laga, yeh kya mujhe hone laga

kuchh aa raha hai, kuchh ja raha hai
aata jaata har pal tadpa raha hai
aawaarapan woh, deewaanapan woh, yaad aa raha hai mastaanapan woh
chain aur sukoon khone laga, yeh kya mujhe hone laga
pehli dafa machala hai dil, dil se baahar nikla hai dil

aati hawaayein deke sadaayein, kehati hai gujare lamhe bhulaaye
hai aaj mein hi har khaab kal ke, yuun aaj ko bhi chhoda na jaaye
chain aur sukoon khone laga, yeh kya mujhe hone laga
betaab hoon, meheb khaab hoon
chain aur sukoon... khone laga, yeh kya mujhe hone laga


Hindi Song Title: Huaa Huaa Main Deewaana
Hindi Movie/Album Name: PRASHANT TAMANG - DHANYAVAD
Singer(s): PRASHANT TAMANG



Hindi Lyrics:

deewaana.................
(shaamo seher mein aaye jaaye, tujhe raat gungunaaye
tere khwaab khile nayan mein, huaa huaa main deewaana, deewaana) - 2

ansuni si ansuni si, ek tarz labon mein mehki hai
anbani si anbani si, dhadkan dhadkan mein lehki hai
mishri teri boli kaano mein jo gholi
her lafj mein hone laga hoon deewaana deewaana
shaamo seher mein aaye jaaye, tujhe raat gungunaaye
tere khwaab khile nayan mein, huaa huaa main deewaana, deewaana

yeh bahaaren yeh bahaaren, tere rang mein rang jaati hai
yeh ishaare yeh ishaare, teri hi aur dekhaati hai
leti hai balaayein, deti hai duaayein
mausam bhi tera hua hai, deewaana, deewaana
(shaamo seher mein aaye jaaye, tujhe raat gungunaaye
tere khwaab khile nayan mein, huaa huaa main deewaana, deewaana) - 2


Hindi Song Title: Dekha Hai Aise Bhi
Hindi Movie/Album Name: PRASHANT TAMANG - DHANYAVAD
Singer(s): PRASHANT TAMANG



Hindi Lyrics:

ghar ko main nikla, tanha akela
saath mere kaun hai, yaar hai mera
jo bhi karna tha, kar aa gaya main
pyaar ko hi maanate chalte jaana
dekha hai aise bhi, kisi ko aise hi
apne bhi dil mein basaaye huye kuchh iraade hain
dil ke kisi kone mein bhi, kuch aise hi vaade hain
inko liye jab hum chalein nazaare bhi humse mile

dekha hai aise bhi, kisi ko aise hi
hasate, hasaate, yuun sub ko manaate hum jaayenge
barso ki doori ko milake hum saath mitaayenge
pyaar rahein, unke liye jo dhoonde woh unko mile

thodi sa garaz hai, thodi si samajh hai
chaahaton ke daayare mein, rukana faraz hai
koi kehta hai ki ghar aa gaya hai
aarzoo bhi arz hai badhate jaana
dekha hai aise bhi, kisi ko aise hi
dil ke jharokon mein ab bhi mohabbat ke saaye hain
reh jaaye jo baad mein bhi hamaare wafaayein hain
inke liye ab tak chalein, hazaaron mein hum bhi mile

dekha hai aise bhi, kisi ko aise hi


Hindi Song Title: Zindagi Phele Kabhi Itani Hasin Kahaan
Hindi Movie/Album Name: PRASHANT TAMANG - DHANYAVAD
Singer(s): PRASHANT TAMANG



Hindi Lyrics:




zindagi phele kabhi itni hasin kahaan
raaste hai sab wahi, badla hai bas jahaan
raat to guzar gai hai, aa gayi subah
kisko khabar thi yeh hume le aayengi yahaan

dil mein tamannaao ko liye, chaahaton ki khatir hum toh jeeye
tanhaan akele chalate rahein, diye zindagi ke jalate rahein
ho ho aise achaanak sab mil gaya, tufaan ko saahil jaise mil gaya
zindagi phele kabhi itni hasin kahaan
raaste hai sab wahi badla hai bas jahaan
raat to guzar gai hai aa gai subah
kisko khabar thi yeh humme le aayengi yahaan

humne suna tha abb yeh jaane, kushiya to dundhe bas bahaane
kitne hai jaane kitne ajaanne, kuch kho gaye sapne kuch hai paane
hum na kisiko ko bhoola paayenge, chahe yeh duniya bhi mil jaaye
zindagi phele kabhi itni hasin kahaan
raaste hai sab wahi badla hai bas jahaan
raat to guzar gai hai aa gai subah
kisko khabar thi yeh humme le aayengi yahaan

kuch dooryan kuch fasle jeevan mein hai yahaan
koi ddoor hokar paas hai samjha koi kahaan
har rang har roop mein dekha hai yeh jahaan
armaan hai bas sako mile sab kuch mile yahaan
kitne hi din aur kitni raatein, yaaad rahengi kuch baatein
yaadon ko dil mein hum sajaaye, yeh zindagi yuunhi chalti jaaye
muskil hai sab kuch samajh paana, maane ya na maane humne maana
kuchh dooryaan kuchh faasle, jeevan mein hai yahaan
koi door hokar paas hai samjha koi kahaan
har rang har roop mein, dekha hai yeh jahaan
armaan hai bas sako mile sab kuch mile yahaan
zindagi phele kabhi itni hasin kahaan
raaste hai sab wahi badla hai bas jahaan
raat to guzar gai hai aa gai subah
kisko khabar thi yeh humme le aayengi yahaan


No comments:

My Blog List