Thursday, December 20, 2007

SHOWBIZ

Hindi Song Title: Duniya Ne Dil Toda
Hindi Movie/Album Name: SHOWBIZ
Singer(s): K.K.
Hindi Lyrics:


(duniya ne dil toda, mujhko tanha chhoda
jina nahin mujhe yaara, tune jo muh moda) - 2
duniya ne dil toda.....
aayine khaabon ke tute, meri aankhon mein chubhane lage hain
jalne lage mere nagme, rang yaadon ke bujhne lage hain
humraah mere tha saara jamaana, abb sirf tanhaayiyaan
honthon pe sabke tha mera taraana, abb hai ruwaayiyaan
duniya ne dil toda, mujhko tanha chhoda
jina nahin mujhe yaara, tune jo muh moda
duniya ne dil toda.....
najdik aa dhadkane sun, tere liye hai yeh aankhein nam, sanam
tu paas ho toh jahaan ke hasake seh loonga main har sitam, ghum
tere bina meri kya jindagaani, udata huwa ik dhunwaan
tere bina meri kya hai kahaani, mita huwa ik nishaan
duniya ne dil toda, mujhko tanha chhoda
jina nahin mujhe yaara, tune jo muh moda
duniya ne dil toda.....


Hindi Song Title: Kaash Ek Din Aisa Bhi Aaye
Hindi Movie/Album Name: SHOWBIZ
Singer(s): SHREYA GHOSHAL
Hindi Lyrics:



kaash ek din aisa bhi aaye, waqt ka pal pal tham jaaye
saamne bas tum hi raho aur umarr gujar jaae
o o o o o o...............
kaash ek din aisa bhi aaye, waqt ka pal pal tham jaaye
pyaar ruk na paaye chaahe saansein theher jaaye
o o o o o o...............
tujhe dekhkar tujhe sochkar maine jo pal jiya tha
use dil ke hi kisi kone mein, bas kaid kar liya tha
kuchh aur lamhe tumse mile toh, duniya sawar jaaye
o o o o o o...............
mere dil ko tum churaake sanam nazarein nahi churaana
kisi baat par kisi mod par, mujhse na rooth jaana
aisa na ho ke dil mera tute aur bikhar jaaye
o o o o o o...............
kaash ek din aisa bhi aaye, waqt ka pal pal tham jaaye
pyaar ruk na paaye chaahe saansein theher jaaye
o o o o o o..............


Hindi Song Title: Mere Falak Ka Tu Hi Sitaara
Hindi Movie/Album Name: SHOWBIZ
Singer(s): K.K.
Hindi Lyrics:



(tu mujhse rootha rahe, mujhe sanam shikaayat nahi hai
na mujhse ikqrar kar, yeh maan lu mohbbat nahi
tujh bin ji sakhu lekin, yeh mujheme himmat nahi) - 2
(mere falak ka tu hi sitaara, aawaara maujo ka tu hi kinaara
abb muskuara de, karde sahaara, maan kehna mera) - 2
main ek pukaar tha, jaan-e-jaana mujhko awaaz banaaya tune
main khud se ho gaya tha juda sa, mujhko mujhse milaaya tune
ehsaan hai tera, raasta hai tu mera, tu mera aashiyaan
(mere falak ka tu hi sitaara, aawaara maujo ka tu hi kinaara
abb muskuara de, karde sahaara, maan kehna mera) - 2
tu mere khwaabon mein, khayaalo mein tu hi tu, tu mere taraano mein
tujhko jo paau mein, paa jaau bahaare, tanha viraano mein
koi bhi ho rah guzar, tu mile jahaan jidhar, hai manzil bas wahaan
(mere falak ka tu hi sitaara, aawaara maujo ka tu hi kin


Hindi Song Title: Meri Ibtada, Meri Intaha
Hindi Movie/Album Name: SHOWBIZ
Singer(s): SHREYA GHOSHAL
Hindi Lyrics:


meri ibtada, meri intaha jo kuchh hai tujhko doon main
tujhe tutke bahot pyaar du, bas ja meri rago mein
sab kuchh bhulaake ik dusare ki, rooh mein bhar jaaye


Hindi Song Title: Tu Musjhse Jab Se Mila Hai Jana
Hindi Movie/Album Name: SHOWBIZ
Singer(s): K.K.
Hindi Lyrics:


(tu musjhse jab se mila hai jana, jeena hai kya yeh jaana
tu mujhse jab se juda hai jana, kud ko hai maine jaana
mujhe jeena aa gaya, (meherbaani shukriya - 3)) - 2
abb to bas tujko hai paana maqsad mera
abb to bas tujko hai chaahna mazhab mera
makhmali si baatein ho, mehki si kuch raatein ho
sandali teri saansein ho sanam
ab yeh kehna aa gaya, (meherbaani shukriya - 3)
har taraf dikhta hai abb toh chehra tera
har ghadi aatho peher haan shaamo subah
bolti meri aankhon ko, ankahi kuch baaton ko
padh bhi le to abb ai jaanemaan
gar to rakh le dil mera, (meherbaani shukriya - 3)
tu musjhse jab se mila hai jana, jeena hai kya yeh jaana
tu mujhse jab se juda hai jana, kud ko hai maine jaana
mujhe jeena aa gaya, (meherbaani shukriya - 3)

No comments:

My Blog List